- Votes:
Hooria Rafiq Qadri - Faslon Ko Khudara Mita Do lyrics
Faslon ko khudara mita do
 Rukh say parda, ab apne hata do
 Apna jalwa, kisi main dikha do
 Jaliyon per nigahein jami hain.
 Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
 Noor ho noor salle ala ho
 Kiya bayan aapka martaba ho
 Dastageer aur mushkil kusha ho
 Aaj deedar apna kara do.
 Jaliyoon per nigahein jami hain…
 Wajd main aaye ga sara aalam
 Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
 Woh nikal aayein gay jaliyoon say
 Aur kadmoon main gir jayein gay hum
 Phir kahein ge, ke bigri bana do.
 Jaliyon per nigahein jami hain…
 Shidat e gham say, ghabra gaya houn
 Ab to jeenay say tang aa gaya houn
 Har taraf app ko dhoundta hoon
 Aur eik eik say yeh phuchta hoonHooria Rafiq Qadri - Faslon Ko Khudara Mita Do - http://motolyrics.com/hooria-rafiq-qadri/faslon-ko-khudara-mita-do-lyrics.html
 Koi paigham ho to bata doon.
 Jaliyoon per nigahein jami hain…
 Aik mujrim siyah kar houn main
 Har khata ka saza war houn main
 Meray charoon taraf hai andhera
 Roshni ka talab gar houn main
 Eik diya hee samajh kay jala do
 Jaliyon par nigahein jami hein…
 Fiqr dekho khayalat dekho
 Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
 Main houn kiya meri auqat dekho
 Samnay kiski hai zaat dekho
 Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do
 Jaliyon per nigahein jami hain
 Jaliyoon par nigahein jmi hain
 Faaslon ko khudara mita do
 Rukh say parda, ab apne hata do
 Apna jalwa, kisi main dikha do
 Jaliyon per nigahein jami hain.











