- Votes:
- See also:
Lata Mangeshkar - Woh Bhooli Dastaan lyrics
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi -2
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Kahan se phir chale aaye, yeh kuchh bhatke hue saaye
Yeh kuchh bhoole hue nagme, jo mere pyaar ne gaye
Yeh kuchh bhichhdi hui yaadein, yeh kuchh toote hue sapne
Paraaye ho gaye to kya, kabhi yeh bhi to the apne
Na jaane inse kyun milkar, nazar sharma gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Ummeedon ke haseen mele, tamannaaon ke woh rele
Nigaahon ne nigaahon se, ajab kuchh khel the kheleLata Mangeshkar - Woh Bhooli Dastaan - http://motolyrics.com/lata-mangeshkar/woh-bhooli-dastaan-lyrics.html
Hawa mein zulf lehrayi, nazar pe bekhudi chhaai
Khule the dil ke darwaaze, mohabbat bhi chali aayi
Tamannaaon ki duniya par, jawaani chhaa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochhta hai dil, woh din the yaa fasaane the
Faqat ik yaad hai baaki, bas ik fariyaad hai baaki
Woh khusiyan loot gayi lekin, dil-ye-barbaad hai baaki
Kahan the zindagi meri, kahan par aa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi..