- Votes:
 - See also:
 
Abhi mujh mein Kahin Lyrics Translations:
englishSONU NIGAM - Abhi mujh mein Kahin lyrics
Abhi mujh mein kahin,
 baaki thodi si hai zindagi
 Jagi dhadkan nayi,
 jaana zinda hoon main to abhi
 Kuch aisi lagan
 is lamhe mein hai
 Yeh lamha kahaan tha mera
 Ab hai saamne, ise chhoo loon zara
 Mar jaaun ya jee loon zara
 Khushiyaan choom loon
 Ya ro loon zara
 Mar jaaun ya jee loon zara. Ho abhi mujh mein kahin,
 baaki thodi si hai zindagi Ho.. dhoop mein jalte hue tann ko,
 chhaya ped ki mil gayi
 Roothe bachche ki hansi jaise,
 phuslaane se phir khil gayi
 Kuch aisa hi ab mehsoos dil ko ho raha hai
 Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai
 Kuch aisa reham is lamhe mein haiSONU NIGAM - Abhi mujh mein Kahin - http://motolyrics.com/sonu-nigam/abhi-mujh-mein-kahin-lyrics.html
 Ye lamha kahaan tha mera
 Ab hai saamne, ise chhoo loon zara
 Mar jaaun ya jee loon zara
 Khushiyan choom loon
 Ya ro loon zara
 Mar jaaun ya jee loon zara Dor se tooti patang jaisi,
 thi yeh zindagani meri
 Aaj hoon kal ho mera na ho
 Har din thi kahaani meri
 Ek bandhan naya peechhe se ab mujhko bulaaye
 Aane wale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
 Ik aisi chubhan, is lamhe mein hai
 Yeh lamha kahaan tha mera
 Ab hai saamne, isse chhoo loon zara
 Marr jaaun ya jee loon zara
 Khushiyaan choom loon
 Ya ro loon zara
 Marr jaaun ya jee loon zara.. Submitter's comments:  Music: Ajay-Atul
 Lyrics: Amitabh Bhattacharya









