- Votes:
- See also:
Sajjad Ali - Kia Naam Doon lyrics
Kia NAAM Doon?
Door Koi bhi ho........??????
Baitoon ke liye maaon k khuwaab aik jese hi hotay hain,
Un Khuwaboon ki zaree main.
Kahin tu duaaon ki umeeedain lagti hain,
Aur Kahin Umeed ki Shireen baanti jaati hain,
Lekin aksar surmay ki kaali lakeer k raastay,
Saray Khuwab bah jaatay hain,
Kion k taareekh ko shayed aik hee rang pasand tha.
.....LAL Rang............!!!!
WOH.......Es do harf ki boht si shaklain hain,
WOH.......Jisay hum umar bhar chahty hain,
WOH.......Jisay hum kabhi nahi chahty hain,
WOH........Jo humaray saath rahta hai,
WOH........Jo Kabhi nahi milta,
WOH.......Jis se hum naraz rahty hain,
Aur WOH......Jo apni marzi rakhta hai..................!!!!
INTEZAAR..........Bachpan main kkhiloun ka intezaar,
Hawaoon k baad baarsih ka intezaar,
INTEZAAR..........Chaltay chaltay koi naam dhondhta rahta hai,
Galee k morr pe tasweerain banata rahta hai,Sajjad Ali - Kia Naam Doon - http://motolyrics.com/sajjad-ali/kia-naam-doon-lyrics.html
Kundiyoon main atka rahta hai,
INTEZAAR..........khatam ho jata tu aankhain rastay
se uth kar khud ko bund na kar leti,
INTEZAAR..........karna tu zaroori hai lekin,
INTEZAAR..........ka thahar jana tu zaroori tu nahi.............................???
Humaray pairoon se bhunday rasty na ginti hai aur na gininay k hain,
Zindagi zaroorat ki ungli pakray dourti jaati hai,
Koi aawaz, Koi sukooon, Koi wadah essay raok nahi sakta,
Khuwahishon ka shorr Aawaz ko goonga kar deta hai,
Aur zaroorat ki umar bharti rahti hai,
ZINDAGI.........Zindagi bhala kahan rukti hai,.....?
Aik din mujhay raastay main ek shaks mila,
Uss ne hathon main do aik jese chahray utha rakhay thy,
Poocha...En do chahroon ka kia mutlub...?
Bola.....Aik main khud hon... Dosra Duniya....
Poocha......En main se tum koan ho....?
Bola......Ab yaad nahi raha.....
Phir Poocha..........Es ka faidah...?
Bola....Mujhay nuqsaan se faidah uthany ki aadat ho chukki hai.......
Kahin bohut door ess takhti par likhay huye kuch lafz muskradiye,
Aur hum dono ne apnay apnay chahray utha liye.......